Skip to main content

COnversations ...

Note :- Miss Kriti Bajaj agar kissiko blogworld main kahin mile, to bolna tushar unke reply ki wait ka raha...

______________________________
T.M. - Haanji sir, kya haal chaal

S.s. - Arrey tushar bhai, kaise ho

T.M. - Bas sab rab ki kripa hai, aapse kaam tha,socha aapko thodi takleef de dun

S.S - Arrey Arrey, takleef kaisi, batao kya hua

T.M - Yeh ek ladki hai, Nidhi Srivastava. Thodi Info chahiye thi.Pareshaan kar rakha hai

S.s - Kya hua,dost.Serious lag rahe.Kya kiya, aap se kaun vair karega?

T.M - Yaar,boys vs girls debate shuru kardi, aapko kaise samjhaaun

S.s. - *Chuckles* Bhai,maana, delhi main virgins mushkil se milti hai, aap 10 saal ki bachi ke peeche bhaag rahe.I mean, hum log child exploitation ke liye ladte hain.Aapne lekh likhe hain.Kuch to socho.*Chuckles*Girls vs boys 10 saal ki ladki, se kya jhagda karna, chodo.Mitti paao.

T.M. - Arrey, pata hai mujhe, yeh sab bache karte hain.HUmne bhi bahut majje liye the.But yeh puri aunty types hai.You know mahila mukti morcha kinds.Mardon ke khilaaf naare lagane wali.
Iski report nikalo.

S.S. - Hmmm,aisa bola usne?i mean kaha kya?

T.M. - Bas yaar, avien kuch soch rha tha, likh liya, aagayi, morcha leke. Pure blog world main izzat ka satyanas kar diya.Bolte hain main old fashioned hun.Sexist hun.and Homosexual.

S.S - Homosexual?Ladki ne bola

T.M - nai, uske dost ne.Topi master.Bhagwaan ko bhi gaali di.Kal ke chokkre ne.

S.S - Yeh to galat hai.Ladki ne sorry to bola hoga tujhe.I mean homosexual.Bhagwaan ko gali.
Bhai, aap asoolon ke pakke insaan hain.Issiliye izzat karta hun aapki,yeh sab sunna acha nai laga.

T.M - Sorry???Bawle hogaye aap? Dilli ki tamashbeen ladki hai.Aapke dilli main koi ladki ko chedd jaaye, 50 bande khade tamasha dekhte hain.Yeh bhi ussi category hai.Tamasha dekho bas.Conscience kahan hai aajkal.Sab maili ho chuki

S.S. - Aapko dilli itni pasand hai, iske logon se itna shikwa kyun?Par ladki jaisi bhi ho, jo bhi social
kaam karti ho, aapko kissi ne uske saamne bola, woh sirf usse encourage karti rahi.Agar main hota uski jageh,aur aisa karta, aap to mujhe wahin dho dete.Aur aap sab dekhi jaa rhe.Main aapke saath hun.Bolo thodi profile batao ladki ki

T.M. - Complete nari morcha types.She works for the devolpment of women.Helps raped women.Feminist to the core.Social worker hai.I was targeted because they thought i was a chauvinist or old fashioned.Kaafi bada group hai iska,Kuch ideas aaye mind main?

S.S - Main to yeh soch raha, aapko homosexual bola.Sab chup rahe honge.Usko lesbian koi bol deta, to aajate aapke ghar.Morcha leke.HUm mard zaat ko hi badnaam kar rakha.
Pichle hafte, ek ladki se mila, aise hi kissi andolan main slogans laga rahi thi,aurton ke khilaaf atiyachaar.Yeh woh.Mujhe dekha, to line maarne lagi.Raat ko kamre main legaya to *Chuckles*

T.M - Kya hua?

S.S. - Bolti hai, u be in command.Maine kaha, kyun? main aurton pe atiyachaar ni karta.
fir tum bologi, kasht dete ho.Bhaga diya.ussi time.Kaafi social workers achi hoti hain, yeh aisi tushar bhai, sabko badnaam kardeti hain. Jaise woh Nidhi, ladkiyon ka naam badnaam kar rahi.
Jis kissi ko sexism aur chauvinism ka lecture dena hota hai, woh log aisi bhagwaan ko galiyaan nai sunti.Aapki social worker fake hai.Aap hi to kehte ho, pura religious banda wohi hai, jo doosre religion ki izzat kare. Feminist bhaiji wohi hai, jo chauvinist ki izzat kare.

T.M - Mere hi lesson mujhi ko.Na hi mujhe chauvnism main intrest hai, na hi feminism main.
Mujhe mankind main intrest hai.Is Nidhi Srivastava ka atta patta batao.Isko line pe laana hai.

S.S. - Kis kis ko sudharoge bhaiji.Apni zindagi aap logon ki sewa main laga chuke.Waise ek Nidhi mind main aarahi meri.Story Sunoge?

T.M. Sunao

S.S - Ek banda jaa raha tha, usne ek aunty ko awaaz maari, aunty ne suna nai, usne shoulder pe peck kiya halka sa.Aunty. Yahan pe ek social worker Nidhi Srivastava apne gang ke saath aati hai, and peet deti ha isse.Police comes.Pata chalta hai, aunty ki chunni zameen pe pocha maar rahi thi.Usne sirf usse thoda upar karne ke liye bulaya tha.

T.M. - Haan, expert in misunderstandings.Getting hyper faaltu main.Yeh apni bandi ho sakti hai.

S.S - Ek aur reason,hai, mujhe yaad aaraha, hain to yeh sab stories.maana jaata hai, ki iski ladki ya iski kisi dost ne bande ko sorry nai boli.Yehi bola, ki court pe le jaao, but sorry nai bolenge.
Yeh aapki wali hi ho sakti hai.

T.M. -Definately.Aur kya report hai aapke paas.

S.S - Yeh ek chotta sa group hai.Ache ghar ki ladkiyaan aur ladke.Pade likhe hain.But newspapers main inka koi mention nai hota.Hindi wali main bhi nai.Sab stories hain.Koi proof nai.

T.M. - possible hi nai.agar yeh active group hai,kissi newspaper ne kabhi to cover kiya hoga.Main bhi 2 baar Ht Style main aachuka.And nari morche ko to bahut footage milti hai.Maine bhi to girls ke liye hi likhe the.

S.S - bhai, baat to theek hai aapki.But kuch asool media waalon ke bhi hote hain.Kehte hain, yeh log banners banake march pe gaye the.Tab se, yeh famous to hain, but limelight main nai rahe.

T.M. -Samjha nai main

S.S - bhaijie aap banner pe likhoge, if you have balls, we have boobs.Kaun cover karega.Aapko to sab pata hi hai.

T.M. -Hehehehehehehehe

S.S. - Kya hua???yehi hai kya aapke wali???Aapko bhi banner dikha diya?

T.M. - chalo, koi proof mile in stories ka to batana.I will personally research on them.But koi solid base to dhundo.

S.S. - Mushkil hai bahut.Sab rumors and stories, hearsay hi hai.But aapke liye try karunga.

T.M. - Aur batao, sab kaam kaisa chal raha.Kuch kami peshi to nai.

S.S. - Aap ek baar aajate, chakker laga jaate, sab log yaad karte hain aapko.

T.M. - Dilli, mere bhai Dilli hai.

S.S. -yahan settle kyun nai hojate?

T.M. - meri janambhoomi hi meri karambhoomi hai.Paise se badke hai, apne asool.Rakhta hun phone.maafi chahunga, waqt zaya kiya apka.

S.S. - Agle mahine chakker hi laga jao.Aur main puri koshish karunga.

T.M. - Dekhte hain,khyaal rakhna apna.Aur haan, ek contract courier karunga sign karke bhej dena

S.S -Arrey, kar dunga, Lekin contract?kis cheez ka contract?

T.M. - Usmein likha hai, ki main agar aapka naam apne blog pe na likhun, aap khitpit nai karenge,aur jo humari conversations hain, main apne blog pe copy kar sakta hun.Kal ko aap proof nai mangenge.

S.S. - Bhai ji...Mard ki zubaan hai. Aaap jo chahe kijiye. Jo bhi karte hain, sabke bhale ke liye karte hain.Aapko jo theek lag raha waise kijiye.Meri zubaan hai, main kuch nai kahunga.aaj achanak yeh sab.aap pareshaan lag rhe.Aap samjhdaar aadmi hai.Yeh contract pe sign ni karunga

T.M. - Aurat ki zabaan jo maan le, woh bewakuuf hota hai,samjhdaar nai.Mard ki zabaan, uski aan baan shaan hoti hai.Aurat ka koi bharosa nai mere dost.Koi bharosa nai.Allah tumhe rehmat bakshe.Khuda Haafiz.
______________________________________________________

Comments

Tus its a "wowie" thngi.u r marvelous.
somalee said…
hehehe..good good..
Tushar Mangl said…
@Gauri Mathur
Thank you :-)
@ANkeita
thanks girl.Thought you people must be tired.Should humor you a bit.
@Somalee
thanks somalee

Popular posts from this blog

चाहने वाला हूँ तेरा, देख ले दर्द ज़रा; तू जो वेइखे एक नज़र कारा लखान दा शुक्र सोहनीये! देख तू कह के मूझे , जान भी दे दूंगा तुझे; तेरा ऐसा हूँ दीवाना, तुने अब तक ये ना जाना हीरीए !!! --------------------------------------------- आ सोनी तेनू चाँद की मैं चूड़ी पहरावा, मैनू कर दे इशारा ते मैं डोली ले आंवा !!!

Career Impact in times of Corona Virus

In the last few days, as India comes to terms with Covid-19 and struggles with dealing with this pandemic, one question several people are asking me relates to its impact on their careers. Coronavirus is what you hear everywhere these days. Public distancing and lockdowns are being touted as effective preventive measures to limit its spread. The highly contagious virus has brought the entire global economy to its knees. In this environment, what happens to our careers? Feb-March-April is a period when several corporates roll out their annual appraisal. Salaries are hiked, promotions granted, and career advancements planned. This year, however, things look not so promising for anyone as companies brace for adverse effects on balance sheets and glaring losses due to prolonged disruptions in businesses. Here is what you need to do, confined in your homes to thrive your career -  1) Work from home - Don't just pretend to work. Get some real work done. When this is all

STANDARD CONTENTS IN A GUEST ROOM

IN A 5 – STAR HOTEL GUEST ROOM:- 1. BED:- 1. Mattress (1) 2. Maters protector (1) 3. Bed sheet (2) 4. Night spread (1) 5. Blanket (1) 6. Pillows (2) 7. Bed cover (1) (Boisters) 2. ENTRANCE DOORS:- 1. Lire exit plan 2. DND card on the door know 3. Collect my laundry card 4. Please clean my room card 3. WARDROBE:- 1. Coat hangers 2. Skirt trouser hangers 3. Laundry bags 4. Pot 5. Extra blanket and pillows 6. Bed slippers 4. LOUNGE :- 1. Sofa,